navbar ko blog se kaise remove kare

How to remove the Navbar from blogger ?



Hi Dosto,
Apni ek post me maine apko ye bataya tha ki kaise aap bilkul free me apni khud ki website bana sakte he .jisme maine apko ''Google'' ki ek free service 'Blogger' ke baare me bataya tha ,aaj me apko usse blog ki website me setting kaise kare aur navbar ko kaise hataye ye batauga


Navbar kya hota he ?

Yeh ek tool hota he blogger me jab aap (www.blogger.com) pe jate he aur sign in karte he apni gmail id se uske baad aap 'view blog' pe click karte ho to ek naya page open hota he nayi window me aur sab se upar hota he navbar jaise upar pic me dikhayi de raha he .isme bahut saare option hote he par kuch khaas kaam ke nai hote he ,isko remove karne k baad b hamara blog same waise hi rehta he aur usko koi nuksaan nai hota balti aur jayda professional lagne lagta he jaise ki ek website hoti he .

Free me apni khud ki website kaise banaye

Navbar ke kya kya fayede aur nuksaan he


blogger k Navbar pe apko bahut saare option mil jayege jaise upar wali pic me he aur in sab option k baare me niche bataya he .
1. is B sign pe click karna ke baad aap wapis apne blog ke main page pe pahuch jayoge.
2. ye ek search bar he isme aap kisi blog ko search kar sakte ho.
3. G+ pe click karne se apke blog share ho jayega Google plus pe.
4. more se aur option khul jate he.
5. isse apka agla blog open ho jayega.
6. ye apki email id hoti he.
7. ispe click karne k baad aap nayi blog post kar sakte ho.
8. apke blog ki setting khul jayegi aur aap apni blog ko design kar sakte ho.
9. ye option sign out k liye he.
             
               Dosto ye Navbar sirf ek blogger k liye hi important hota he kyuki iski madad se hum apne blog pe ja sakte he aur setting me ja ke template design change kar sakte he lakin ye hamare visiters k bilkul b kaam ka nai hai aur iske saath hamari website ek sampuran website nai dikhti ,
to isliye hame iske hata dena chahiye .

Navbar kaise hataye apne blog se

Step-1. Sabse pehle aapne www.blogger.com open kar le ,uske baad apni Gmail id se login kar le .
aur fir aapke blogger ka homepage open ho jayega.
jaha pe Layout likha ho usko click kare , jaise niche pic me he.



Step-2.Ab apke saamne ek window open hoga jisme aapko Navbar ka option dikhega ,usme Edit ko click kare.

Step-3.Edit ko click karne k baad apke saamne ek pop up window open hogi jisme aap ko off  k button pe tick karke save kar dena he.



Step-4.Save pe click karne k baad apke blog se navbar ab remove ho chuka he ,aur ab aap 'view blog' pe click karke check kar sakte he ki navbar ka option apke blog se ab hat chuka he .



Agar fir b koi problem aye to niche comment box me comment kare ,



Thank you,




Post a Comment

0 Comments