BHIM app kya he ?

What is BHIM app ?


Hi Dosto ,

kal hi manniye pradhan mantri ji means narendra modi ji ne ek naye app ko launch kiya he
ye aap 30-12-2016 ko launch kiya gaya he ye modi ji ka bahut acha kadam he digital india ki taraf aur saath me ye madad karega demonetisation ko jo is samay bharat me chal rahi he .

ye app npci (national payment corporation of india ) dwara banaya gaya he, is se pehle modi ji ne ek UPI app ko launch kiya tha jo ki 11 april 2016 ko launch hua tha.

BHIM app kya he

ye app BHIM (bharat interface for money) ek aisa aap he jisme hum UPI ki madad se money transfer ya fir accept kar sakte he.

is app se hum apne mobile ko ek bank account bana sakte he aur apne aghuthe (thumb) ko password ki tarah istemaal kar sakte he
         
                     jaisa ki aap sab jante ho ki kal mean 30-12-2016 ko modi ji bahut achi baat kahi digidhan mele me

''aajtak kisi anpad insaan ko aghuthachap keh kar uska majak udaya jata tha lakin ab  samay badal gaya he ab yahi aghutha us insaan ki pehcahaan banega , uska bank banega aur uski takat banega''
        ye BHIM app se india me kisi b kone me reh kar kisi b bank account ko access kar sakte he.
hum chahe to kisi ko b cashless transaction kar sakte he aur paymeny accept b kar sakte he
Modo ji ne iska naam hamare mahaan arthsastri Dr bhim rao ambedkar ji ke naam pe rakha gaya he
ye app modi ji ne cashless ko badawa dene k liye banaya he

Note=is app ko use karne k liye apka adhaar number anivarye he 


  • is app me apka mobile number jo apke account se connect he wohi apka payment address hoga .
  • is app se aap apna balance b check kar sakte he.
  • is app se aap QR code ko scan karke payment kar sakte he.
  • is app me apka payment address kuch aisa hoga <mobile number@upi> jisko hun change b kar sakte he.
  • filhaal yeh app do hi bhasa me uplabd he  ,english aur hindi .
  • 24 ganto me app Rs 10,000 ka transaction kar sakte he.
  • jo bank bhim app me uplabd he wo he, Allahabad bank ,Andhra bank, Axis bank ,Bank of baroda, Bank of india, Bank of maharastra,Catholic syrian bank ,Canera bank, Central bank of india , DCB bank dena bank, Fedral bank ,HDFC bank,IDBI bank ICICI bank,,IDFC bank ,Indain bank ,Indian overseas bank ,Indusind bank , Karnataka bank,Karur vysya bank ,Kotak mahindra bank, Oriental bank of commerce, Punjab national bank , RBL bank , South indian bank, Standard chartered bank ,State bank of india ,Syndicate bank .union bank of india,United bank of india and Vijaya bank.

Agar fir b koi problem aye to niche comment box me comment kare  ,

Me apki poori help karuga .









thank you,
         

Post a Comment

2 Comments

thank you dost