Youtube subscribe button blog pe add kaise kare

How to add youtube subscribe button in blog



Hi Dosto ,
                 hum sab ko pata hai ki youtube b blog ki tarah ek bahut acha tarika hai earning karne k liye aur hum blogging k saath vlogging karke achi khasi income generate kar sakte hai wasarte ki hamari
post bariya honi chahiye aur hamare viewers ko pasand aani chahiye jisse ki jyada se jyada organic traffic hamare blog aur Youtube channel pe aaye , to iske liye hume chahiye ki hum apne blog ya fir channel ka jyada jyada promotion kare ,dosto kitna acha ho ki agar hum dono (channel ya blog) mein se sirf ek ka hi promotion kare aur dusre kisi ek  ka promotion b ho jaye aur hame dusre platform ke b subscibers ya fir followers mil jaye .
Ha Dosto aisa bilkul sambhav hai aur yeh hum sab bloggers kar sakte hai ek bahut aasaan tarah se ,aur yeh aasaan tarika hai apne blog(website) pe apke youtube channel ka subscriber plugin button laga ke . mera ek youtube channel b hai issi blog (infokaise) ke naam se maine b isse tarah se youtube channel ka plugin niche lagaya hua hai jaise hi koi mere blog pe visit karega to wo mera youtube channel b dekhega aur mere channel ka promotion mere apne blog se hi ho jayega .

Youtube plugin lagane k fayede

1. Subscribe button apne blog pe lagane se hum apne youtube channel ko blog        se link kar sakte hai.
2. Yeh button lagane se hamare youtube channel ke subscribe increase ho                 jayege.
3. Jo koi hamari website pe visit karega wo hamare is button ko dekh k hamare      Youtube channel pe b jayega aur fir channel ka traffic b increase hoga.

                         Free me website kaise banaye

Youtube plugin kaise lagaye step by step samajte hai

Step-1. sabse pehle to aap is link  subscribe button pane k liye click kare pe jaye.
uske baad ek page khulega jaise pic me dikh raha hai .




1. apko apke channel ka link isme dalna hai .
2. isko default hi rakhe ,isse apka youtube ka logo large/small hota hai.
3. isse aap logo ko white/black theme me adjust kar sakte hai .
4. aap dikha/hide kar sakte he ki apke subscribers kitne hai .

Step-2. jaise hi aap apne youtube channel ka link upar box me daloge aur uske baad saare adjustment karne ke baad apka ek code generate ho jayega jaise niche pic me dekh sakte he.


Step-3. code to ab apka generate ho gaya hai bas ab iss ko apne select karna hai poora ka poora aur fir copy kar lena hai ,uske baad apne apne blogger pe sign in ho jana hai .

Step-4. blogger k dashboard pe jaye aur layout pe click kare ,ab apne yaha pe apna youtube channel ka subscribe button lagana hai waha pe add a gadget ko click kare aur HTML/Java script e click kare, jaise pic me hai.



Step-5. HTML/java pe click karke apke paas ek naya dialog box open ho jayega jispe aap(Title) pe heading de sakte hai aur jo code apka pehle generate hua tha, usko niche box me dal de, uske baad save kar le.



Apke Youtube channel ka subscribe button ab apki website (blog) pe add ho chuka hai ,is gadget ko jaha aap chahte hai waha pe laga sakte hai .
aap chahe to mere youtube channel ka subscribe button mere blog pe dekh sakte hai ,aur agar apko acha lage to mere channel ko subscribe b kar sakte hai.

agar fir b kuch samaj na aye to aap niche comment box me mere se puch sakte hai.

Thank u

Post a Comment

5 Comments

  1. HI
    AAPKA BLOG BAHUT ACHA HAI,
    MERI BAHUT HELP HUI HAI AAPKE BLOG SE
    THANKU SO MUCH

    ReplyDelete
    Replies
    1. thxks dost apko hamari post pasand aayi,me aage bhi apki help aise hi karta rahuga

      Delete
  2. bahut acha blog hai aapka
    kafi help ki hai aapne
    plz visit my blog aur kamiya btao plzz
    https://www.helpyuvi.com/

    ReplyDelete
    Replies
    1. apki website bahut hi achi hai theme konsi lagayi he apne

      Delete
  3. भाई आपका पोस्ट बहुत अच्छा है।

    ReplyDelete

thank you dost